Saturday, January 28, 2012

LO PHIR BASANT AAE...

1 comment:

  1. Lo phir basant aee
    Lo phir basant aee
    Phoolon pe rang laee

    chalo be darang
    Lab-e-Aab-e-gang
    Baje jaltranag
    Mann per umang chaee
    Lo phir basant aee
    Phoolon pe rang laee

    Afat gaee khizan kee
    qismat phiri jahan kee
    chale maay gusaar
    Soo'ay lalazar
    Ma'ay parda daar
    Sheeshay ke dar se jhankee
    Afat gaee khizan kee
    Qismat phiri jahan kee

    Kheton ka har charinda
    Baghon ka har parinda
    Koi garam khez
    Koi naghma rez
    subk aur tez
    Phir ho gaya hai zinda
    Baghon ka har parinda
    Kheton ka har charinda

    Dharti ke bale bootay
    Andaz-e-nou se phootay
    Hua bakhat sabz
    Mila rakht sabz
    Hain darakht sabz
    ban ban ke sabz niklay
    Dharti ke bail bootay
    Andaz-e-nou se phootay

    Hai ishq bhee junoon bhee
    Masti bhee josh-e-khoon bhee
    Kahin dil mein dard
    Kahin Aah sard
    Kahin rang zard
    Hai yun bhee aur yun bee
    Masti bhee josh-e-khoon bhee
    Hai ishq bhee junoon bhee

    Phooli hui hai sarson
    Bhooli hui hai sarson
    Nahin kuchh bhee yaad
    Yuni ba muraad
    Soni shaad shaad
    Goya rahe gi barson
    Phooli hui hai sarson
    Bhooli hui hai sarson

    Ek nazneen ne pehne
    Phoolon ke zard gehne
    Hai magar udaas
    Naheen pee ke paas
    Gham-o-ranj-o-yaas
    Dil ko parre hain sehne
    Ek naznin ne pehne
    Phoolon ke zard gehne

    ReplyDelete